Monday, December 3, 2012

Yeh Ishq nahi aasaan ...

Ek chehre pe qayi chehrey lagaa lete hain log ... Jaani ... Yeh Ishq nahi aasaan ... Ek tedaa medaa zokhim bhari raah ... raah mein kaante hazaar ... Rakht ki behti dhaar ... Aansoon ki bharmaar.

Yaa toh raho taiyyar ... kaaton pe paaon chilwane ko .... Ya ghar betho beemar ... aansoon mein doob jaaney ko.

Par kisi ka dil na todo apni vaasna ki bhook mitaney ko ... kyunki jab dil tootta hai awaaz nahi hoti ... par jis tarah toofan apne aaney ka aagah nahi deta ... toota dil apne wajood ko paaney ka sila nahi deta. sab mit jaata jai ek pal mein ... jo premi rooth jaye ... duniya nasht ho jaati hai barbaad mohabbat mein.

Jo koi aashiq bann jaye haiwaan ... toh ashiaaney toot jaatey hain ... mitti ke gharondey paani mein pighal jaatey hain ... tinka tinka jodaa hua ghoslaa bikhar jaata hai ... phir kuch nahi bachta mohabbat ki pehchaan bataney ko ... sab bikhar jaata hai jo koi saathi rooth jaata hai.

Yeh ishq nahi aasaan .. mere dost ... aag ka dariyaa ... aansoon ka samundar ... yaa aar yaa paar.


No comments:

Post a Comment