Sunday, November 11, 2012

Maine Rabb ko dekha hai ....

Maine Rabb ko dekha hai ...
Unn nanhi aankhon mein ....
Maine khudaa ko jaana hai ....
Pakad ke unn nahi hatheliyon ko ...
Maine Bhagwan ko paaya hai ...
Jab uss bachchey ko goud mein uthaya hai ....
Angel jisey kehte hain ....
Woh nanhi si jaan .....
Meri zindagi mein aaya hai.
Maine Rabb, Khudaa, Bhagwan ....
Sabko paa liya ....
Mukti mil gayi insaani zazbaaton se....
God particle ....
Jo mere ghar aaya hai.

Rabb jhooth naa bulwaye ....
Unn neeli aankhon mein ....
Samundar ki ghehrayee hai ...
Unn komal haathon mein ....
Saara sansar simat gaya hai....
Mera sansaar ...
Mera ghar ....
Mera sab kuch ....
Uss khudaa ke bheje farishtey ki hatheliyon mein hai.

Woh ek nahi ...
Anek hai.....
Ek toofan hai...
Samundar mein macha ek ufaan hai....
Mere andar ka insaan hai....
Jismey yeh jahan hai.

Maine Rabb ko dekha hai ...
Dekha hai .... Unn ankhon mein.

No comments:

Post a Comment