Sunday, October 28, 2012

Laqeerein .....

Laqeerein ...
Haath ki laqeerein ...
Taqdeer ki laqeerein ...
Laqeerein jo humne kheenchi ....
Waqt ki raet pe....
Woh laqeerein ...
Jo sagar ki ek lehar mitaa gayi.

Laqeeron ka kya hai ....
Bina haath walon ki bhi ek kismet hoti hai ...
So laqeeron pe kyun jaana....
Apni kismet ko aazmaana...
Laqeeron ko kya hai ...
Zameen pe aaj yahan hain toh kal wahan....
Haqeeqat jo he ....
Usey kya jhuthlaana...
Tammam umra laqeeron ko dosh naa dena ....
Unka kya hai ...
Banti aur bigadti hain ....
Dosh toh hamara hai ...
Jo sab par bharosa kar baithey.

Par koi gilaa nahi ...
Naa hi koi shikwaa hai....
Talli kabhi ek haath se toh bajti nahi.

Hum kal bhi khush thei ....
Aur aaj bhi ....
Bekhudi ka aalam hai ....
Par tanha na hum kal thei ... naa aaj hain.

Gham nahi ki zamaaney ne dhoka diya....
Zamana kya hai?
Kuch bhi nahi ....
Hum thokar pe rakhte hain duniya ko ....
Hum duniya ko nahi ....
Duniya hamein salaam bajaati hai.

Taqdeer ki laqeer ....
Ek waham hai ...
Buss kuch aur nahi ....
Wahi hota hai..,
Jo manzoor e khudaa hota hai ...
Aur khudaa laqeer nahi banata ....
Woh Taqdeer banata hai ....
Taqveer ke liye....
Hum hi bhool jaatein hain ....
Tasveer ke liye.

No comments:

Post a Comment