Friday, October 26, 2012

Dard ka ehsaas....

Aapke dard ka ehsaas hai mujhko ....
Dil mein koi ranjish nahi ....
Bas ek kashmakash hai....
Kya aapney mujhe baksh diya?
Jo galti gussey mein ....anjaaney mein hui ...
Kya uss galti ki mein hi akeli malkin thi?
Taali ek haath se kabhi nahi bajti ....
Usski goonj milon dooor tak sunai padti hai ...
Par do haathon ki taali ...
Ek ki nahin.

Aapke dard ka ehsaas hai mujhe.....
Mein bhi iss gham mein uljhi hoon...
Barson ke saath ka khona...
Apney pyar ko dheerey dheerey tadapte dekhna....
Maine toh sab kuch kam umra mein hi gawaan diya ...
Kuch bhi baaki naa bacha jeeney ke liye....
Phir bhi doobti naav ko kinarey pe laayi ...
Do masoom chehron ke liye....
Ek manjar banaa diya apney astitva ka....
Ek aisi chitaah jali ...
Jismey sab khaakh ho gaya...
Bachi toh sirf raakh ...
Jo dhool mein mil hawa mein lipt ho gayi.

Aapke dard ka ehsaas hai mujhe ....
Isiliye likhti hoon ki aap akele nahi ....
Dard ke safar mein kayi saath hain ...
Buss hum unn ehsaason ko kalam de dete hain.

Aapke dard ka ehsaas hai mujhe...
Sachmuch ....
Saathi ke bichadney ka gham kya hai ...
Usska ehsaas hai mujhey....
Zubaan usska naam nahi leti ...
Par ehsaas hai mujhe.

Yaad hai woh toofan ....
Jo sab ujaad gaya....
Mera bagh mera chaman ...
Lekin mere bagh mein ab bhi phool khiltey hain ....
Kyunki ek yakin zindaa hai ....
Ki dard usey bhi bahut hua hoga ...
Jab ek hawa ka jhonka...
Hamarey gharondey ko tinka tinka kar gaya.
Usskey dard ka ehsaas hai mujhe ...
Uski aankhon mein dekha hai maine hum sabka dard ....
Par woh chupp hai...
Aur mein maun....
Aapke dard ka ehsaas hai mujhe.

No comments:

Post a Comment