Friday, October 26, 2012

Geeli Raet....Wet sand....

Woh geeli raet pe chalney ka ehsaas...
Aaj bhi yaad hai ....
Paer ki ungliyoun ke beech khisakti raet....
Samundar ke paani ke saath beh jaanewali raet ....
Paaon taley zameen khisakney ka ehsaas dilati raet.....
Geeli raet ...
Geeli raet ke Mahal ...
Ek leher kya uthi ...
Mahal ka naam -o- nishaan hi mit gaya....
Geeli raet .....
Bheegi raatein ...
Samundar ke namkeen paani ke chand cheentey ....
Maujon mein uthti doobti naav....
Geeli raet ....
Jaal mein phansi tadapti machchaliyon ka dard ....
Geeli raet dekh sab yaad aa gaya...
Sab ehsaas jaag uthey...
Insaan ka jism bhi ek din ...
Geeli raet mein samaa jayega....
Mitti se bana putla...
Mitti mein mil jayega....
Baaki reh jayenge peechey kuch nishaaniyaan....
Waqt ka takazaa hai ....
Har din ek samaan nahi hota....
Jab ehsaas hoga.....
Geeli raet khisak chuki hogi pairon taley.

No comments:

Post a Comment